Header Ads

Bahut kaThin tha nibhaana, nibaah main ne kiya Ghazal

 

Bahut kaThin tha nibhaana, nibaah main ne kiya


Bahut kaThin tha nibhaana, nibaah main ne kiya

Khud apne aap ko yaani tabaah main ne kiya

Bahut kaThin tha nibhaana, nibaah main ne kiya  Khud apne aap ko yaani tabaah main ne kiya


Mila tha jab K mujhe tu sufaid-umri mein

Tujhe bhi pyaar magar be-panaah main ne kiya


MaiN tere jism ke ander tha baat karte hue

Tujhe pata bhi nahi jo gunaah main ne kiya


Jo kamsukhan the miyaN wo bhi daad dene lage

Kisi ke she’r pe jab waah waah main ne kiya


Tu mere jurm ki tamheed E be-gunaahi dekh

Koi wakeel na koi gawaah main ne kiya


Tumhare ishq pe woh naaz hai mujhe jaanaaN

K is Ghuroor mein sar kaj-kulaah main ne kiya


(Mehshar Afridi)

بہت کٹھن تھا نبھانا، نباہ میں نے کیا  

خود اپنے آپ کو یعنی تباہ میں نے کیا  


ملا تھا جب ک مجھے تو سفید عمری میں  

تجھے بھی پیار مگر بے پناہ میں نے کیا  


میں تیرے جسم کے اندر تھا بات کرتے ہوئے  

تجھے پتا بھی نہیں جو گناہ میں نے کیا  


جو کمسخن تھے میاں وہ بھی داد دینے لگے  

کسی کے شعر پہ جب واہ واہ میں نے کیا  


تو میرے جرم کی تمہیدِ بے گناہی دیکھ  

کوئی وکیل نہ کوئی گواہ میں نے کیا  


تمہارے عشق پہ وہ ناز ہے مجھے جاناں  

کہ اس غرور میں سر کج کلاہ میں نے کیا

No comments

Powered by Blogger.