Header Ads

Bhuli bisri hui yaadoN mein kasak hai kitni Ghazal

 

Bhuli bisri hui yaadoN mein kasak hai kitni


Bhuli bisri hui yaadoN mein kasak hai kitni

Doobti shaam ke atraaf chamak hai kitni

Bhuli bisri hui yaadoN mein kasak hai kitni  Doobti shaam ke atraaf chamak hai kitni


Manzar E gul to bus ek pal k liye Thahra tha

Aati jaati hui saansoN mein mahak hai kitni


Gir ke Too-Ta nahi shayed woh kisi pat-thar per

Uski aawaz mein taabindaa khanak hai kitni


Apni har baat mein woh bhi hai hasinoN jaisa

Us saraapay mein magar nok plak hai kitni


Jaate mausam ne jinhein chhoR diya hai tanha

Mujh mein un TooT-te pattoN ki jhalak hai kitni

بھولی بسری ہوئی یادوں میں کسک ہے کتنی  

ڈوبتی شام کے اطراف چمک ہے کتنی  


منظرِ گل تو بس ایک پل کے لیے ٹھہرا تھا  

آتی جاتی ہوئی سانسوں میں مہک ہے کتنی  


گر کے ٹوٹا نہیں شاید وہ کسی پتھر پر  

اُس کی آواز میں تابندہ خنک ہے کتنی  


اپنی ہر بات میں وہ بھی ہے حسینوں جیسا  

اُس سراپے میں مگر نوک پلاک ہے کتنی  


جاتے موسم نے جنہیں چھوڑ دیا ہے تنہا  

مجھ میں اُن ٹُوٹتے پتّوں کی جھلک ہے کتنی

No comments

Powered by Blogger.