Hasraten Roog Ban Gai Murshad
اور پھر کچھ راتیں ایسی بھی ہوتی
ہیں کہ سانس لینا وبال لگتا ہے
Aur Phr Kuch Raaten Aisi Bhi Hoti
Hain K Saans Lena Wabaal Lagta Hai
حسرتیں روگ بن گئیں مرشد
لوگ ذہنی مریض کہتے ہیں اب
Hasraten Roog Ban Gai Murshad
Logg Zehni Mareez Kehty Hain
میں نے ایک شخص جیت کر ہارا
اب مجھے کھیل کے میدان برے لگتے ہیں
Main Ne Aik Shakas Jeet Kar Haara
Ab Mujhe Khel K Maidan Bure Lagty Hain
شفا دیتا تھا کبھی کسی کا مرھمی لہجا
وہ مسیحا مجھے بیمار کر کے چھوڑ گیا
Shifa Deta Tha Kabhi Kisi Ka Marhami Lehja
Wo Maseeha Mujhe Beemar Kar K Chohr Gaya
جب تم ہی میرے مقابل ہو تو فتح کیسی
جاؤ ہم ساری خوشیاں وار گئے، ہم ہار گئے
Jab Tum He Mere Muqabil Ho To Fatah Kesi
Jao Hum Saari Khusiyan Waar Gaye, Hum Haar Gaye

.png)
.png)
.png)
.png)
Post a Comment